kudrat ke vigyan ka ek niyam hai-us par viswas or sraddha rakho-vo jobhi karega accha hi karega or jo kudrati niyam sthapit kiye gaye hai9kudrati niyam bahut sodh sansodhan ke bad hi banaye jate hai-use smaya antar par jache or parkhe jate hai-bahut samay vyatit honepar use tathya ki kasoti par parakh ke use sahi ya galat sthapit kiye jate hai-or use sthapit karne ke bad vo patthar par ki gayi lakir ho jate hai usme badlav ki koi gunjaeesh nahi rahti aant time par vohi niyam or sinddhant chalte rahte hai-use badla nahi jasakta-jaise computer par koi program raning kardo to vohi chalta hai-kher computer me to pogram badla bhi ja sakta hai-kudrati niyam me badlav nahi ho sakta) kudrat ka apna vignan hai jise "god sience" ke nam se hum janenge. aajka adhunik vignan bhi yahi "god sience" ki den hai-sience ka ek niyam hai -koibhi sindhant ya niyam ko jacho-parkho or apni sudh-budh ke sath svikar karo-ya asvikar karo-svikar ya asvikar ke karan se avgat raho. kudrat ko bhi harek ghatnaye ghatit karneme time jata hai-vo ghatnaye uchit time(yogya samay) par nirdharan hoti hai-tatkal kuchbi nahi hota-is niyam ka swikar kudrat ko bhi karna hota hai.harek jiv ka apna jivan kal hota hai-uske jivan ka karya kal niyat hai.aise kudrat ka karyakal-"anant-time" hai. jaise hume jivan nirvah karne ke liye-or apne sab karya karne ke liye laxmi(dhan-rupiya-paisa-money) ki jarurat padti hai vaise hi kudrat ko apna sabkuch sanchalit karne ke liye "urja-Mc2) ki jarurat padti hai-jisse unhone jo sarjan kiya hai uska lalan -palan or sanchalan kar sake.vo urja unko"oum-om" se pradan hoti hai.oum ya om sabki urja ke strotra hai. or vo urja om ke mind me otomaticaly uttpann hoti hai.jisase hamara ye ghar-bhrahmand chalta raheta hai-or anant time tak chalta rahega. vaise to najarke samne sab kus mit jate dekkhaee deta hai -par yaha kusbhi mitta nahi. humbhi marte nahi-hamara sarir mar jata hai-hum manusyo ko or anya visnu dhwara sarjit jivo ko mrutyu or jivan ka chakra hota hai-harek jivan par agle jivan ki memory delete kar di jati hai taki dusre jivan me koi samsya na ho.or kudrat mrutyu nahi hai ha uska uttpatti-kal jarur hai par nast-kal nahi hai.yahi karya anant samay tak chalta rahega.kiska nash hota hai "asat' ka kon saswat hai "sat'.naswant vastuo ka moh mat karo vo to mitne vali hai.durguno se dur raho-apne andar sadguno ko panapne do-dikhne me sona or hire hi acche lagte hai-vohi manko santi dete hai-hans hote hai vo moti ka chara hi pasand karte hai-lakh jamana kharab dikhe par hame jamane se kya lena hai ye hum tay kare-or kya jamne ko dena hai ye hum tay kare-swatantra nirnay sakti harek jiv ko dee huee hai.
Friday, 8 July 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...
No comments:
Post a Comment