Powered By Blogger

Friday, 16 June 2017

apna vyahvhar dusro ke prati friendly rakhe

apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki nahi? vo apne mulyo ko sabse upar rakh raha hai ki nahi-vo apne mulyo ko chahe jaisibhi muskeli aaye sodta to nahi na? uske manme mulyoka mahtva sabse adhik hai ki nahi-ye sab chek karne ke liye kudrat sacche insan ki hamesa parixa karta rahta hai-vo kahi badlta to nahina ye chek bhi iswer karta hai. dusroke prati uska vyavhar karna ye  sab uske jivan ka hisab rakhne me iswer ko kam aata hai. kyoki aage jake(uska manusya jivan samapt hone ke bad) use uaske jivan me kiye gaye karyo aur dusro ke prati kiye gaye vyavhar ka fal dena hota hai. ye hisab chokkas (khara) rakhna padta hai. taki use uska sahi fal diya jaye. isaliye jaisa vyavhar aapne  anya ko diya hota hai aisa hi vyavhar aapko agar usse na mil paye to anya se dilwa deta hai.esa sayong rachta hai ki vo vyavhar(uske jaisa hi vyavhar) aapko mile. agar insan bhagvan ki harek prakriyao ko samaj jaye to use jivan kya hai-jivan kyo hai-jivan kisliye hai ke sawalo ke javab mil jaye aur dusro (ki jo part of god hai) unke prati vyavhar kaisa karna chahiye uski samaj aaye. agar aap jo vyavhar dusro ke prati kar rahe hai uski chakasni karni ho ki vo jo mai  uske sath vyavhar kar raha hu vo vyahvhar vo mere sath karta to mai kaisa fil karta mai jo vyahvar uske sath kar raha hu vohi vyavhar vo mere sath kare to mai kaisa mahsus karta vo soch lena chahiye. tabhi dusro ke prati vyahvaroki samaj aayegi. bolne bhi eek kala hoti hai jise vaakchaturya kaha jata hai-boliye aise ki samneke manusya ke kanome misri ghul jaye taki vo aapko sunne ka pasand kare aur bar bar sunna pasand kare. manusya kal me bis sal ke hojaye tab duniyadari ki sab samaj viksit hojati hai,tabhi se apne jivan ke sacche mulya( ki jise hi iswer saccha sona - true gold- samjte hai) ko chuniye aur chahe jivan me jitnibhi muskil ghadi aaye use kabhi na sodiye-iswar aapka sath kabhi nahi sodega-us mulyo ke sath jivan me chalte chale jaeeye-aapko jivan me chahiye vo mil jayega-ha aapke karyoke fal ki aur najar mat kariye-sahi vakt aane par aapko sahi fal mil jayega-iswer par bharosa rakhiye-vo kisika bura nahi chahta-vo jivan ke kiye gaye karyo ke hisab me kabhibhi unch-nich nahi karta.bure insan ki harvakt iswer parixa isliye nahi leta kyoki vo iswer ki agli parixao me fail ho chuka hota hai aur usne jo jivanmulya chune hai usse uske fal nirdharit hochuke hote hai isliye bure insanki harvakt or harxan parixa nahi leta ha agar vo firse accha or saccha insan banneka nirdhar karke sahijivanmulyo chunta hai usitime se uski vapis parixaye suru hojati hai-burabanna asan hai,saccha banna jivan ke sahi mulyo ko chunke chalta rahna bahot kathin hai-isliye axar log hamesa buraeeyo ko pasand karlete hai.sacche mulyo par chalna unko bhata nahi hai. astu.

No comments:

Post a Comment

                                                              ♡ my clerification♡                                                          ...