apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans kabhibhi adivya nahi ho sakta kyoki parmatma yani mera swa param divya hai,aap mere ans(part of me,mere bhag ho) aap kaise nimn(nicha) ho sakte ho,aap unch kaxa ke jiv ho -apne aapko kabhi bhi nicha ya kurup mat aankiye,aapka antrik sondrya nihariye,aap abhibhut,abhibhavk ho jayenge.aap khud apne khuda-god-eswer-bhagwan ho,apne aapko kabhi bhi galat raste par mat jane de,apne aapko galat raste pe jane se rokiye-apne aapko galat karne se rokiye-aapme jo durgun-ya galatsalat vichar aate hai vo adivya hai-aapme jo durgun ghar karke baith gaye hai vo adivya hai-aap adivya nahi ho sakte.apne aapko buri aadto,bure guno,aur bure vicharo se sudaeeye-aaphi apna bhala kar sakto ho-apne aap pe eek upkar karo in buri aadto,in bure guno-yani durguno aur bure vichar se suda kar,acchi adto,acche guno-sadguno-aur acche vicharo ki aur apni jivan naiya mod do-fir dekhiye jivan aapko jine jaisa lagega.dusroko aanand dena suru karo,apne aap par itna upkar karne ke bad dusro par upkar karna suru kar do-jivan me jisme jisme apni swarth vrutti hai use tyag do-paropkari ban jao-sachmuchme ab jivan aapko sunder lage ga-jine jaisa lagega-apne hi aaine me apne aapko nihar kar aap khil uthoge-vah mai kitna sunder dikh raha hu,mai kitna divya hu.fir aap apne liye nahi dusro ke liye jina suru kar doge. sahi maino me tabhi aap apne khuda-god,bhagwan,eawer hoge.aap apne hi taranhar hoge.kabhi kabhi ekant mebaith kar dhyan lagaya kiji ye aur apne apke ander utar jaya kijiye vaha aapko apna aur mera darsan karne ko milega.kabhi kabhi dhyan me baith kar aapka jo bhi problem hai uska manan kijiye us problem ka hal aap ko aapke ander se hi milega.is liye kahta hu apne aapne aapko kabhi kam mat aankiye ya kabhibhi akela mat mahsoos kijiye mai aapke sath ho-apne aap ko lachar,ya pangu mat mahsoos kijiye eesi ghadi me dyan laga kar apne aapme utar jaeeye.apne antar me chale jaeeye.aapko vaha har prasna ka uttar milega-har muskil ka hal milega.aap divya hai ,aap hi aapke khuda hai-aap apna uddhar kar sakte hai-aap divya hai.astu
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...
No comments:
Post a Comment