Powered By Blogger

Tuesday, 7 March 2017

sukh uttpann karna ya dukh uttpann karna khudke hath me.

manusya jab jivan ki suruat karta hai-yaniki usse jab jagat ka gyan hota hai tabse use nirdharit karna padta hai ki vo kaise jiye-use apna lax pahle nirdharit kar dena chaiye-lax nirdharna me manviya sadgun bahut jaruri hote hai,jai se paropkarki bhavna,daya, xama, wave(jane dene ki niti),kisi ke sath bhi sal kapat na karna,abhav vale logo ke liye hamdardi or prem,sadbhavna,uncha charitra(apni patni ke siva anya striyo ko vrajr manna-ya kisi stri ko na buri najar se dekhna)jivan me sabko sahayak hona,jua ya vyasno se dur rahena jaise sadgun insan ko sahi maeeno me insan hone ki anubhuti dete hai,rupeeyo-paiso(dhan) na hone se manusya garib(poor) nahi hota insan sadgun na hone ki vajah se garib hota hai.aise(durgun vale) insanoki sachmuch daya khani chahiye-uske pas chahe jitana bhi dhan hoga vo sahi maeeno me garib hai.sadgun koi dukano me nahi bikte woto andrke humare ander ke sacche bhav hai jo kahi na kahi prakat hote rahte hai-jisme jaise bhav hoge vaise bhav samay-samay par prakat hote rahenge.vaise koi insan garib nahi hai(dhan ke najariye se mat dekho-dhan ka kya hai aaj hai to kal nahi hai-or parso hai-dhan ek maya hai jo aata jata raheta hai) par vo insan apne jivan ke sahi sindhant to chune,sabko swapn(khwab) dekhne ka adhikar de rakha hai kudrat ne-bas khwab dekhkar use pura karne me jut jaye to samay aane par wo khwab(swapn) bhi pura hoga.bas use pura karne ki sacchi lagan aur mahenat chahiye-sabko uske swapn ka fal milta hai,bas siddhant nakki karke use niyam par chalte chale jao-bas tumhare swapn dusro ko nuksan ya aahat karne wale nahi hone chahiye.warna uska fal ulta milne wala ho jata hai.-bure karya(kam) ka bura natija.bas isee tarah bhagwan bhi swapn dekhte hai,par apne liye nahi apne jivo ke liye-pure sansar ke kalyan ke liye.aur fir wo jut jata hai us pure sansar ke kalyan ke liye.mera kya hai me to ek sunya hu,mai hote huye bhi nahi hu aur nahi hote huye bhi hu.matlab-mai hu..hu..firbhi nahi hu...aur nahi..nahi..fir..bhir bhi hu..muje samjna...muskil...hai..mera koee akar-prakar..nahi..hai..firbhi..sab..akar..prakar..mere hi hai..mai hi sab karta...hu...firbhi mai..kus nahi karta..muje samjne ..ki uljan me pade..bina..hi ..aap..apne...apko janiye samjiye..mai..apne aap hi..apki samaj..me aajaunga..nahi..muje prasiddhi..ki bhukh nahi hai..nahi..koee mai meri namna..ya kirti chahta hu...muje sansar se kusbhi..nahi..chahiye..mai..kus leta nahi..kus..na kus..deta rahta hu...khai..topic..badal gaya..mul topic tha..insan hi...apne...sukh..ya dukh..ka..karan hai..sukhi..hona ya dukhi hona ye manusya ke khudke hath mai hai..aapki ander shiv(kalyan karak tatva) aur jiv(iswar ki banayi gayi rachna) dono hi baste hai-hraday ke ander-sab me-shiv(kalyankarak tatva) ko sune unka kaha mane-bure ko bura kahe acche ko accha-matlab bura accha jo bhi nirnay karna hai aapko karna hai.aapke nirnayo par aapka bhavisya nirbhar hai-aapke vartano par aapka bhavisya nirbhar hai.jivan naiya kis aur le jani hai vo aap hi tay kar sakte hai-krupa karke aapki jivan naeeya aachaee ki or le chale aap bhavisya me sukhi ho jayenge-kyo ki vartman me jobhi karya aap karte hai vo karya bhavisya nirman karta hai aur aane vala bhavisya eek din vartman banta hai-ees liye sukhi hona dukhi hona aapke hi hath me hai-jaisa karoge-vaisa paoge.-astu.

No comments:

Post a Comment

                                                              ♡ my clerification♡                                                          ...