Powered By Blogger

Saturday, 9 July 2016

iswar se koi na koi fariyad karte rahte rahte hai-prabhu tumne muje ye nahi diya hai-prabhu tumne muje vo nahi diya hai' are bhai santosh man-tumhe jo uchit tha vo mila hai-or parbhu sabko koi na koi visisttaye dete taki uska jivan nirvah ho sake. asantosh-lalach ki to koi simaee nahi hoti.jise jo mila hai vo uchit hi mila hai-swikar karke eswar ka pad(abhar-thank you) mankar jina chahiye-jise jo mila hai vo karya-karan ke sambandhit hai.santosh mankar jivan jina chahiye.ya vaise jina sikh lena chahiye-koi dhan(laxmi) mangta hai to koi pratistha ya pad(niyat sthan-jagah) ,koi baccheki ummid karte hai,to koi manpasand stri ki-aap kaho ge magar mang ne par bhi bhagwan kaha deta hai? or dene kaha aata hai?- to agar aapko vo dena uchit hogaya hoga(nahi uchit hua hoga to nahi milega)to eswar aisi sthitiya nirmit karenge ki vo aapko mil jayega.pratyx rup se nahi parox rupse.pratyax or parox rup ka bhed app jann jaoge tabhi aap jan jaoge ki eswar sabhi jagah mojud hai naye naye rup dharke.koi kahega iswar muje kahi dekhaee nahi dete.or koi kahega muje eswar jagah-jagah par dekhaee deta hai-har jagah dekhaee deta hai.najar najar ka fark hai-vaignako jise sirf hydrozen ka gola samjte hai use hum surya-narayan ke nam se pujte hai. sahi hai voto jivan data hai-unse to jivan ka ye chakra tika hua hai.eek gujrati kavi ki kavita hai "jya jya najar mari fare yadi bhari se aapni-jaha jaha meri najar jati hai vaha vaha me aapki yadi(nisaniya-pagla-pav ke nisan) dekhta hu. jaha ravi(surya) nahi pahuchta vaha kavi pahuch jata hai.kavi kudrat ka adbhut sarjan hai. aise najar -najar ka fer(bhed-farak) hai. sote balak ki kilkariyo me kudrat ,basti hai,vayu ke sangit me kudrat basati hai,nadiyo ke sur-surahat me kudrat baheti hai,sagarke ghughwat(lahero ki aawaz) me kudrat basti hai,chidiya ki chih-chihat me kudrat basti hai,bariski ramzam-ramzam me kudrat basti hai,kisi ke muh ki muskurahat-ya hasya me kudrat basti hai,ful ke khilne me kudrat basti hai,dhodh(zarna)ke girne se jo aawaj hoti hai usme kudrat basti hai,shih ki dahad me kudrat basti hai,hathi ke garjname kudrat basti hai,kisike rudan pe kudrat roti hai,aapke dil me kudrat basti hai.hasta wohi hai,rota wohi hai,khelta-kudta wohi hai,tum bhi wohi hai or maibhi wohi hai,wohi sab hai or fir bhi ma nahi hu mai nahi hu karta hai.ayaha waha wohi hai,nar or nari wohi hai-or fir bhi wo na nar hai na nari hai,wo koi rup me bandhta nahi,wo koi sabke andar rahte huye bhi sabse par hai.wo kisiki pakadme(bandhanme) aaye aisa nahi hai.wo kisiki samaj mai aaye aisa nahi hai,vo har jivan ki lay or tal mai hai-wo kanekan-(anu-anu) me hai,wo pale-pale or xanexan me hai firbhi log kahte hai ki wo kahi nahi hai.

No comments:

Post a Comment

                                                              ♡ my clerification♡                                                          ...