jivan ka arth kya hai-swarth me jite logo ka jivan koi jivan nahi hota(jo apne liye hi jite hai-uske jivan ke koi maeene nahi hote-uskea jivan ka bhi arth nahi hai.) jivan vo hai jo anya ke kam aaye-kisi ko bhi madadrup bane-kudrat yahi pahla siddhant hai ki aap apne liye na jio par oro(anya-dusre ke liye )jio insan ka dharm hai ki tumhare pass ek roti hai to aadhi roti kutte(ya fir tumhare jaise bhukh wale) ko do, daya, prem, vatsalya,xama jaise bhav kaha hai is duniyame?-aaj sabka jivan swarth- may ban gaye hai-sab apne liye jite aakho ke samne dikhaaee padte hai. dhire dhire laxmi ka mahtva sabke dilo dimag par havvi hota ja raha hai-jise dekho use paiso ke pise pagal dekhneme aarahe hai. -paisa hi mera bhagwan or paisa ka me gulam(das)-jaisi paristhitiya deekhaee pad rahi hai-aaj-kal world economey paiso par tiki-huee hai-jiske pass jyada paisa(laxmi) vo desh takatvar! vo desh koibhi desh ko hairan pareshan kar sakta hai.money-power ki bolbala hai-jaha money power par arth vyavstha tiki ho vaha creshing to aayega hi. yaniki mandi-tezi to chalti rahegi. aaj kal world economy cressh ki durghatna se gujar rahi hai-jiska adkatra asar mere par bhi hai.hota hai-chalta hai-kabhi kabhi ye din bhi dekhne padte hai insan ko-ye sab tamasha kudrat apni nigaho(aankh) se nihar rahi hai-kudrat kahti hai" betamji teji thi tab to bahut tanmaniya(anand ke mare usalkud karna or dusro ko ignor karke jina) thay or ab meri yad aane lagi hai tuje-hehehehe mai to tuje tutane par hi yad aata hu hai na?" insan dukh padne par hi kyo iswar ko yad karta hoga-sukh me jalsa karta hota hai.uss time vo iswar ko yad bhi nahi karta hai.-iswar ko harek pal me yad karo "hari oum tatsat" vo tumhari pukar sunkar tumhare pass hi khada rahega.chahe sakant ka time ho ya normal time ya sukh ka time-mai to ye ajmanjas me hu ki manusya kisako sukh mantahai? harek manusya ki sukh ki vyakhya alag-alag hai-sukh ek salawa hai or man ka bhram hai-sukh ya dukh ye man ka karan hai-man ko hi sukh ya dukh hona lagta hai-dusra kush nahi hai. ye vichar par aaeeye" ye jo kus hai vo kus nahi tha me se hai-pahle kush nahi tha,ab bhi kus nahi hai-or age bhi kus nahi rahega-kus tha nahi-kus hoga nahi-kus rahega nahi"-sunya tha sunya hi rahega-to satya kya hai-kon rahega-sunya-"me hu-hu par nahi-or nahi nahi(hu) par hu" iswar satya hai-or wo hi rahta hai wohi saswat hai. vignaniko ko vo "me nahi nahi(nahi hu) par hu-or or hu hu par nahi nahi" par vichar karna padega. isliye unko iswar kahi par dikhayee nahi dete.
Friday, 8 July 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...
No comments:
Post a Comment