or bahut sare thode thode time kam karke mai aluminium slindig work ke kampe lag gaya.vaha muje shikneko bahut mila. or age jane ka skop bhi dikha.me helper me lag gaya jaha muje mahine ke panchso rupaye rajaye katke milne lage.maine school jana sod diya tha halaki mai 12vi kaxame 52% se pass hua tha par muje ab colege nahi karni thi muje mere gharki ya ni ki family ki madad karni thi. ek saal kam karne ke bad meri 31/5/1993 ko sadi kar di gayi. sadi mere mamaki sali ke sath kar di gayi. dhire dhire me ek anubhavi kari gar ban gaya, is doran mai maere bhai rajuko mer sath le gaya taki wobhi mere sath aluminium ka kam sikh sake. or iasahi hua, wo bhi kam sikh gaya.1993 se lekar2000 tak ham dono bhaio ne sathme kama kama kar mere piche tino ki sadia kara li ab acchi kamai hone lagi thi ,sab khte pite or moujse rahne lage the.jo haume kabhi nahi mila tha, wo ab hume milne laga tha.hum khus the. hamara kam chalta gaya chalta gaya.hum ab dono bhaio contract se kam lete the. par hamari kismat ne hume rulane ka nakki kiya hoga isliye jab 26/1/2001 ko jab gujratme dhartikamp hua uske badke do mahine me meri mataji ka nidhan ho gaya.unki aayu us wakt 48 year ki rahi ho gi .mutyu ka karan pet me pani bharanese ho gayi. hamare ghar pariwar par aabh tut pada. hum achanak hi akele pad gaye. pariwarke sab sadasya tut chuke the. jine ki koi wjah ab hame nahi lag rahi thi.duniyame humara koi nahi aisa hume lag raha tha.jaye to kaha jaye kise humari ye dukhbhari kahani sunaye .apna kahne ko humare pass jyada kutumijan nahi the.ab yah se mera or god conection chalu hota hai. aage aage padhte jayiye dhire dhire god hai uska aapko ahesas karata jaunga. aapka priya dost baldevbhai d. thakor
Tuesday, 13 January 2015
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...
No comments:
Post a Comment