Powered By Blogger

Monday, 19 January 2015

muje pata hai, harek naswant jiv ko is duniya se chala jana hai, harek jiv ki jo umra hari ne di hai,jiske jo bhagyame di hai,wo bita kar use aage ke raste jana hi jana hi, yaha koi parmenant nahi hai,sabko ek din jana hai ageke raste par, halaki usko isliye pata nahi rahta ki ageke raste keliye hari uski mamory dalete kar deta hai, sbhi amar to hai par hum tukdo mai amrta prapt karte hai, is duniya ko ek hi vanpice mind chala sakta hai jo sabse pahele uttpann hua tha, kyoki usme hi sab tatv bhare rahe huye hote hai. vo hi is univars ka bhavisya nirmata hai. jaise it professiono ko or abhi to lagbhag sabko malum hai ki jaise computer kis tarah chalta hai, ek main sarver hota hai, us sarvermai se sab program downlod hote hai, isi hi tarah ek hi master mind ke sab program se sab mind ke program chalte hai, sarver down to sab program down ho jate hai.matlab hame vicharbhi or idea bhi wohi bejta hai. hume hasata wohi hai ,rulata bhi wo hai,hume khusbhi wo hi rakhta hai or na khus bhi wo hi rakhta hai, sabko subki situietion ke anu sar situietion paida karta hai, wo uske karm ke anusar uske jivanko dhalta or situietion banata hai, vo hume dur baitha chalne ka adesh karta hai,rone hasne ka adesh karta hai,khus honeka adesh karta hai, sabko chalata vo hi hai, par hum samjte hai wo sab hum kar rahe hai. sincetist, samjte hai,ya or koi bhi invester samjta hai ki dar asal usne jo nayi sodh ki wo uske dimag ki upaj hai, hakki kat ye nahi hai, waise idea dene wala bhi wohi hai. wo sabko anand mai dekhna chahta hai.                                                                                                                                                                                                  aap sochoge ki to uske yahase acchi acchi soch aati hai to kya buri soch bhi uske yahaase hi aati hai, ha yahi point hai, buri sochbhi uske yahase hi aati hai, par candidat ki parixa ke liye- ki wo bheji gayi buri soch ko ecsept karta hai ki nahi agar us so ch ko wo anusarta hai, to uska natija bhi usne soch rakha hota hai, use bure parinam bhugtne ate hai, usi time nahi to usne jo time tay kiya hota hai ustime par uska bura natija usko bugtna atta hi atta hai. isliye bure vichar ko apne manse tilanjali do, ingnor nagativity , be pojitive , be siqure. harek jivme vo basata hai, koi jiv sota ya bada,amir ya garib or uncha ya nicha nahi hai sab saman hai, kyoki sab me uska activation hai. sab parmatma ke ans hai. kisise bhi bhedbhav mat rakho vo parmatmaka apman hai.

No comments:

Post a Comment

                                                              ♡ my clerification♡                                                          ...