prutvi par sthul jiv aur suxm duniya ke tatv mere hi ans hone ke karan sabhi aatma aur parmatmao mere se jude rahte hai,mai kisi me bhi bhed nahi rakhta, mai nuntam ya ucchtam ke sath bhi sman vyavhar rakhta hu.pruthvi par bhi bhanti bhati ke bhed pravrtman hai-jaise ki tu nicha mai uncha,tu kala mai gora,tu nirdhan mai dhanvan,teri buddhi mere se nichi meribuddhi tere se unchi,tu stri mai purush adi aur kaee tarah ke bhed rakhte hai ye pruthvi ke buddhijiviyo. mere najar se sabhi ek hai aur mere hi brhmandiy parivar ke sab log hai.yaha sabki buddhiya alag alag tarike se work karti hai.yaha sab ki apni apni jivan kahaniya hai jo ekdusre se juda juda hai, pruthvi par present time me 800 crore jivan kahaniya chal rahi hai,sab ek dusre se alag alag hai, jivan ki ghatnaye harroj 800 crore banti hai, aur sam dhale so jati hai dusre din fir 800crore ghatnaye ghatti hai aur sam ko apne apne bhav jagat me laut jati hai. pruthvi par 800 crore(buddhijivi) bhav jagat hai.harek bhav jagat ek dusre se alag alag hai.jivan prati din ghatit hote ghatnao ka samuh hai jo harroj ghatti rahti hai.meri najar se dekho to pruthvi ke harek stri purush bhai bahen hai vo kaise to mul se dekha jaye jaha se suru hua to vahi se ye bhai bahen hai aur biological ko sodo to vo ek parmatmaki santan hone ke nate atmik bhai bahen hai. aap mere ans hone ke karan aap jo man se (acchi iccha karna bhai) iccha karoge vo hame sunaee ya deekhaee degi jo hum aapki iccha puri karenge. aaapki icchaye puri karneke liye to hi hum karyanvit hai. aap ko iccha sakti se kai se karya siddh kiya jata hai wo bad mai dekhaunga-bataung abhi dusri bat kaheni hai muje-ek to yah ki jo apne swarth ke liye jita hai uska jivan mai vyart jivan samjta hu vo vyart apna jivan yaha pasar kar raha hai.jo parmarth-yani dusro ke liye apna jivan kharch kar raha hai vohi saccha jivan jita hai aur vohi jivan ke arth ko samjta hai,akele khus na raho auro ko bhi khush karte jio,dusro ke bhi anand ka khyal rakho. muje bat karni hai us suxm duniya ki jo harek ko dekhaee nahi deti aur sunaee nahi deti, kisi kisi ko ye suxm duniya dekhaee aur sunaee deti hai,un logo ko muje itnahi kahna hai ki wo aapka bhram nahi hai vo duniya aapko real me dikhee aur sunaee deti hai-nahi aap pagal nahi ho gaye ho wo duniya se aapka sachme sampark hota hai aur wo sampark karane wala hai visnu-prutvi ke palak. us suxma duniya se aap dare nahi,gabhraye nahi penic mai aaeeye nahi-wo duniya aaapka kus bigad nahi sakti, wo aapko naye naye anubhav karayegi par aapka kus bigadegi nahi. manke gahraeeyo me jake un suxm duniya ka contect ho sakta hai-ye bat bhi mai aapko bad mai kahuga-jo vistar se kahunga. pruthvi par jo mox ke mumuxu hai unhe ye jankari deni hai ki jo pruthvi par ke sansar se mox pana chahte hai aur jo jo dev ki bhakti karta hai vo us dev ke pas jata hai,use vo dev apni raxa me lete hai, mox vanchu o ko mai mox deta hu mox ka matlab phir is pruthvi par janm na lekar brhmand ke koee jagah par sadhnake liye jut jana-par mai use pravvutio se nivrutti manta hu-mox ka marg pasand karna matlab har pravvruttio se nivrutt ho jana-jivan pravvruttio se nivvrutti lene ka nam nahi hai-mox ke mumuxu bhi mujse urja prapt karte hai.buddh,mahavir,sahjanand,ishu khrist,hzzarat muhhmad aur unke folower sai baba aur guru nanak, kabir aur najane ye pruthvi par jin jin logo ne naye naye panth banaye wo sab mujse urja prapt karke unke unke panthke logo ka kalyan karte hai.panth to in logo ne banaye meri najar me sab saman hai muje bhed rakhnewalo se chid rahti hai-sab jiv ek saman hai-koi uncha nahi aur koi nich nahi.astu
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...
No comments:
Post a Comment