samsyao se mat ghabraeeye-samsyao se datkar samna kariye samsyaee bhag jayegi-nidar baniye.aapatio se datkar mukabla kijiye vo dur ho jayegi.jo samsya-aapati se ghabrate rahte hai uuse samsyaye or daraneki kosis karti hai. kisi bhi vyakti ka har time eek jaisa nahi rahta hai.time badlte rahta hai.aaj dukh ke din hai to kal sukh ke din aane vale hote hai.aaj -abhi andhera hai to kal sawera ane wala hai-sawera ugne wala hai.apne aap ko kosiye mat kyoki koee bhi paristhitiya aapki hath ki baat nahi hai use time pe sod dijiye.bas aap sirf us disa me kam karte rahiye jisse aapki samsyaye dur ho jaye baki kudrat ke hath me sod dijiye wo sabka bhala hi karega. ek se din sab ke nahi rahte.time ka ye badlav kudrat ki sahjikta hai.ek si sthitiya kudrat kisiki bhi nahi rakhti.usse badlti rahti hai.is liye dukh me na jyada dukhi rahiye aur sukhme na salak jaeeye.sthit pragnya jaisi mansik sthiti ke sath jivan bitaeeye.yani jivan ke koibhi sthiti me na ghabra jaeeye aur sthiti acchi hone pe na usalkud kariye.koibhi sthiti me eek jaise rahiye.sthit pragya.jise koeebhi jivan ki sthiti ki asar nahi hoti vo jivanki koi bhi sthiti mai eek saman-eek jaisa vartan karta hai. dard bhari sthitio se apne aapko jaldi bahar nikaliye.kyoki dardbhari sthitiya vyakti ko kamzor bana deti hai.usse jaldi bahar nikal ne ke liye vojo dard bhari sthiti uttpann huee hai usse jaldi se apna dhyan hata kar dusri aur-dusri pravvuttiyo me apna dhyan kendrit kariye-dard bhari paristhitio ka apne aap samtolan ho jayega-yani ki dard bhari sthitiya dhire dhire hoke chalijayegi.kabhi bhi itne udas mat baniye ki aapko apne jivan ko khatm karne ka vichar aa jaye-ya apne jivan ko khatm karne ki soch aapke manme panap ne lage-itne udas mat rahiye-jivan ya sab jivano ka samuh ye kudrat ki rachaee gayi eek maya hai jise hum sach mankar ji rahe hai.ye kudrat ka rachaya gaya eek khel hai jise hum sach mankar khel rahe hai.sabko eek soch niyantrit karti hai aur vo hai kudrat ki soch-main computer-main sarver jahase sabki jindgi-jivan ke tar jude huye hai.isliye koeebhi paristhitio me khus rahiye-soti soti babato me khus ho jane ki kala sikh lijiye.soti soti babato me khus ho jaeeye.give up -dedene ki bhavna rakhiye.santoshi rahiye.aur jivan me uccha guno ko grahan kijiye.apne sindhat khud chuniye-jo sindhatt uccha ho-aur usko kabhi bhi mat sodiye.vohi tumhare jivan ki amulya mudi hogi.aur vohi tumhara jivan par karayegi.khus rahiye hardam aur aanand me rahiye .astu
Saturday, 9 September 2017
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...
No comments:
Post a Comment