kaee(bauddhik) log is duniya me jite hai,par khud se roj milne wale kitne?kabhi kabhi time nikal ke(koee eek time nakki kar lo khud se milne ka) kar khud se roj mil liya karo.aap kahoge mai khud apne aap se kaise mil sakta hu,to tum khud apne aapse mil sakte ho-apne aapse miloge to janoge ki mai kitna divya hu,mereme durgun panap sakte hi nahi,mai kisiskabhi bura soch sakta ya kar hi sakta nahi.koee din ka eek time jobhi aap ko suteble ho -koee aapko distrube na kare aisi jagah me yogi ki mudrame baith jaeeye.aankhe bandkar dijiye-aapme jobhi vichar chal rahe ho usko hata dijiye-eek dam eeerr ho jaeeye.-eekdam sant ho jaeeye.vicharo se mukt ho jaeeye.tabhi to aap mere paas(sunya-zero kepass oum ke pass) aa skoge-aap apne pas aa sakoge,aap apne aapko nihar sakoge.ankhe band karke aapko jo bhi mantra priya ho-hari oum tasat- ka jap kijiye-aap apne me rahe durguno ko samjiye-use hatane ka sankalp kijiye. aap apne jivan ke sinddhant nakki kijiye aur us sinddhanto par tike rahneka sankalp kijiye. dhyanavsthame aap mukt vihar kijiye aur aapke andarki duniya nihariye-dhire dhire ye avstha aapko meri aur le aayegi.mai,na sakar,na akar na prakar hu mai nirakar hu.mera na akar hai na prakar hai,firbhi sansar ke sab akar prakar mere hi hai.na mai nar hu na nari hu firbhi sab nar-nari mere hi swarup hai. sansar mujse hi kriya -sil hai.aur anant time tak kriyasil rahega.aap apne aapse milte ho to mujko hi milte hao-aap mere hi ans ho-aap divya ho meri tarah.aap harroj ke karya se time nikal kar apne aap se mila kare-fir dekhiye aapki duniya rango-aur khushali se bhar jayegi.bahetar jivan ke liye apne aap se milna bahot jaruri hai.aapko vahi se apne tamam sawalo ke jawab milenge-aapko vahise apki tamam samsyao ke hal milenge.harroj apne aapse mila kijiye-aur apne apkojaniye-pahechaniye.astu
Monday, 27 March 2017
Tuesday, 7 March 2017
sukh uttpann karna ya dukh uttpann karna khudke hath me.
manusya jab jivan ki suruat karta hai-yaniki usse jab jagat ka gyan hota hai tabse use nirdharit karna padta hai ki vo kaise jiye-use apna lax pahle nirdharit kar dena chaiye-lax nirdharna me manviya sadgun bahut jaruri hote hai,jai se paropkarki bhavna,daya, xama, wave(jane dene ki niti),kisi ke sath bhi sal kapat na karna,abhav vale logo ke liye hamdardi or prem,sadbhavna,uncha charitra(apni patni ke siva anya striyo ko vrajr manna-ya kisi stri ko na buri najar se dekhna)jivan me sabko sahayak hona,jua ya vyasno se dur rahena jaise sadgun insan ko sahi maeeno me insan hone ki anubhuti dete hai,rupeeyo-paiso(dhan) na hone se manusya garib(poor) nahi hota insan sadgun na hone ki vajah se garib hota hai.aise(durgun vale) insanoki sachmuch daya khani chahiye-uske pas chahe jitana bhi dhan hoga vo sahi maeeno me garib hai.sadgun koi dukano me nahi bikte woto andrke humare ander ke sacche bhav hai jo kahi na kahi prakat hote rahte hai-jisme jaise bhav hoge vaise bhav samay-samay par prakat hote rahenge.vaise koi insan garib nahi hai(dhan ke najariye se mat dekho-dhan ka kya hai aaj hai to kal nahi hai-or parso hai-dhan ek maya hai jo aata jata raheta hai) par vo insan apne jivan ke sahi sindhant to chune,sabko swapn(khwab) dekhne ka adhikar de rakha hai kudrat ne-bas khwab dekhkar use pura karne me jut jaye to samay aane par wo khwab(swapn) bhi pura hoga.bas use pura karne ki sacchi lagan aur mahenat chahiye-sabko uske swapn ka fal milta hai,bas siddhant nakki karke use niyam par chalte chale jao-bas tumhare swapn dusro ko nuksan ya aahat karne wale nahi hone chahiye.warna uska fal ulta milne wala ho jata hai.-bure karya(kam) ka bura natija.bas isee tarah bhagwan bhi swapn dekhte hai,par apne liye nahi apne jivo ke liye-pure sansar ke kalyan ke liye.aur fir wo jut jata hai us pure sansar ke kalyan ke liye.mera kya hai me to ek sunya hu,mai hote huye bhi nahi hu aur nahi hote huye bhi hu.matlab-mai hu..hu..firbhi nahi hu...aur nahi..nahi..fir..bhir bhi hu..muje samjna...muskil...hai..mera koee akar-prakar..nahi..hai..firbhi..sab..akar..prakar..mere hi hai..mai hi sab karta...hu...firbhi mai..kus nahi karta..muje samjne ..ki uljan me pade..bina..hi ..aap..apne...apko janiye samjiye..mai..apne aap hi..apki samaj..me aajaunga..nahi..muje prasiddhi..ki bhukh nahi hai..nahi..koee mai meri namna..ya kirti chahta hu...muje sansar se kusbhi..nahi..chahiye..mai..kus leta nahi..kus..na kus..deta rahta hu...khai..topic..badal gaya..mul topic tha..insan hi...apne...sukh..ya dukh..ka..karan hai..sukhi..hona ya dukhi hona ye manusya ke khudke hath mai hai..aapki ander shiv(kalyan karak tatva) aur jiv(iswar ki banayi gayi rachna) dono hi baste hai-hraday ke ander-sab me-shiv(kalyankarak tatva) ko sune unka kaha mane-bure ko bura kahe acche ko accha-matlab bura accha jo bhi nirnay karna hai aapko karna hai.aapke nirnayo par aapka bhavisya nirbhar hai-aapke vartano par aapka bhavisya nirbhar hai.jivan naiya kis aur le jani hai vo aap hi tay kar sakte hai-krupa karke aapki jivan naeeya aachaee ki or le chale aap bhavisya me sukhi ho jayenge-kyo ki vartman me jobhi karya aap karte hai vo karya bhavisya nirman karta hai aur aane vala bhavisya eek din vartman banta hai-ees liye sukhi hona dukhi hona aapke hi hath me hai-jaisa karoge-vaisa paoge.-astu.
daiviy log ke mrutyu iccha mrutyu hoti hai,meri(mere manav sarir ki) mrutyu tay hai meri mrutyu 26-6-2044 ko do parahar12:01 30 secodke bad hogi. aap kahoge kaha mrutyu ki baat leke baith gaye,ha sahi hai mrutyu hoti hi nahi to fir uski baat kyo karni par pruthvi par saririk mrutyu hoti hai,khair mrutyu ke mudde ko mene pahle charch liya hai.mryutyu se kya ghabhrana vo to pruthvi vasiyo ko harek ko aani hai. fir bhi log jaise unko kabhi mrutyu aayegi hi nahi aise jite hai aur bure se bure karm karte rahte hai. khair us mudde ko jane de,jiska jaisa karm vaisa hi fal vo payega-holi aa rahi hai sab ko advance me holiki mubarkbad dedu.hamare india me tyoharo ka eek alag hi maza hai.enjoy the holy.kisika nuksan mat karna dosto.sab ki holi manglmay ho aisi subhkamnaye. ye jivan ki kahani,matlab jivan utpann hua,chetnaye uttpann huee ye baat 40,00000 cr.vars ki hai pruthvi ke varso ke hisa se mere uttpatti ke bad jo jivan chakra uttpann hua jo brahmand uttpann hua us baato ko 40,00000 cr. vars huye.(faik raha hu-agar aapko aisa lag raha hai to,yesha samaj ne ki bhul mat karna) ye satya hai aur satya to akhir satya hota hai chahe aap use jutlao ya usse muh mod lo par wo badlta nahi. aanand me rahe,prasann rahe,sukhi rahe-astu-dusra post bad me.
Sunday, 5 March 2017
yah univers kis niyam se chal raha hai?
aap ko prasn hoga ki yah univers konse niyamo se chal raha hai-to janiye ki yah univers eek simpal karya or karan ke niyamo par chal raha hai,yah univers karya or karan ke niyamo se badhit hai.aur usi karan se ye chal raha hai.time-travel posible hai,maine kaee bar time travel ki hai jiski ginti muje bhi yad nahi ki maine kitni bar time travel ki hogi.mai lagbhag do teen din mai time-travel karta hu-kabhi kabhi harroj ka kram bhi ye ho jata hai-time travel mere liye koi navaee(aschrya)ki chij nahi hai.waisebhi mai ek time traveler hi hu.avkas mai time(pruthvi ke hisab se sota ho jata hai) mane aapka eekdin pruthvi par bita hoga to avkash me ek mini second bhi nahi bita hoga-matlab ye hua ki hum jab jiv ko dharti par bhejte hai janm lene ke liye tab se agar uske aayu ke sou saal hoge aur wo sou sall ke bad mrutyu pamke hamare pass aayega to bhi hume lagega ki tumne to dus din pruthvi par bitaye aur humare pass wapas aa gaye! matlab pruthvi ke 100 saal ke barabar humare dus dien hi hai.matlab itna time ka diffrence hai-avkash aur pruthvi ke time ke bech mai! agar manav sabhyta chati hai ki hume wo sabkus mile jise wo chati hai to jarur milega par-par use brhmandiy niyamoka palan karke jina hoga-matlab brahmand ke jo niyam-siddhant hum daiviy logo ne banaye hai uska palan karna hoga tabhi unko hum wo chate hai wo de sakenge-jaise jivan me durguno ko(juth bolna,dusroko salna,dhokha dena,chori karna,jua khelna,vyasan karna,kisike dil ko dukh,dard ya glani se bhar dena,dusre ki sampatti ko yen-ken prakar se hansil karna-jaise avguno) ka tyag kar dena aur kaee aur bhi niyam sindhant hai is banaye gaye niyam siddhanto ke viruddh ke jo siddhant hai uska agar tyag karke jivan jiye to hum daiv log unhe wo de sakte hai(manviy saskruti-sabhyata ko vo de sakte hai) jo vo chahte hai.hum khush rahenge agar aaplogo ko wo mile jo aap chate ho.par manviya sabhyata ko humare banaye gaye niyamo ka palan karna padega aur jivan paryant karna padega to mil sakta hai-time travel machine aur vigyan ki kaee naee khoje jo hum daiv logone soch rakkhi hai ki wo aap logo ko mile.astu
aap khud khudke khuda-god iswer ho!
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans kabhibhi adivya nahi ho sakta kyoki parmatma yani mera swa param divya hai,aap mere ans(part of me,mere bhag ho) aap kaise nimn(nicha) ho sakte ho,aap unch kaxa ke jiv ho -apne aapko kabhi bhi nicha ya kurup mat aankiye,aapka antrik sondrya nihariye,aap abhibhut,abhibhavk ho jayenge.aap khud apne khuda-god-eswer-bhagwan ho,apne aapko kabhi bhi galat raste par mat jane de,apne aapko galat raste pe jane se rokiye-apne aapko galat karne se rokiye-aapme jo durgun-ya galatsalat vichar aate hai vo adivya hai-aapme jo durgun ghar karke baith gaye hai vo adivya hai-aap adivya nahi ho sakte.apne aapko buri aadto,bure guno,aur bure vicharo se sudaeeye-aaphi apna bhala kar sakto ho-apne aap pe eek upkar karo in buri aadto,in bure guno-yani durguno aur bure vichar se suda kar,acchi adto,acche guno-sadguno-aur acche vicharo ki aur apni jivan naiya mod do-fir dekhiye jivan aapko jine jaisa lagega.dusroko aanand dena suru karo,apne aap par itna upkar karne ke bad dusro par upkar karna suru kar do-jivan me jisme jisme apni swarth vrutti hai use tyag do-paropkari ban jao-sachmuchme ab jivan aapko sunder lage ga-jine jaisa lagega-apne hi aaine me apne aapko nihar kar aap khil uthoge-vah mai kitna sunder dikh raha hu,mai kitna divya hu.fir aap apne liye nahi dusro ke liye jina suru kar doge. sahi maino me tabhi aap apne khuda-god,bhagwan,eawer hoge.aap apne hi taranhar hoge.kabhi kabhi ekant mebaith kar dhyan lagaya kiji ye aur apne apke ander utar jaya kijiye vaha aapko apna aur mera darsan karne ko milega.kabhi kabhi dhyan me baith kar aapka jo bhi problem hai uska manan kijiye us problem ka hal aap ko aapke ander se hi milega.is liye kahta hu apne aapne aapko kabhi kam mat aankiye ya kabhibhi akela mat mahsoos kijiye mai aapke sath ho-apne aap ko lachar,ya pangu mat mahsoos kijiye eesi ghadi me dyan laga kar apne aapme utar jaeeye.apne antar me chale jaeeye.aapko vaha har prasna ka uttar milega-har muskil ka hal milega.aap divya hai ,aap hi aapke khuda hai-aap apna uddhar kar sakte hai-aap divya hai.astu
Saturday, 4 March 2017
kaise chalta hai ye univers?-janiye,samjiye.
mera karya jo pruthvilok ke jiv hai unke jaisa sarir nahi balke vayurup sarir walo ko jineki urja or karyakari urja deneka hai.us urja se daiviya log jivit bhi rahte hai aur us urja se vo bade bade karya bhi karte hai. vo urja meremind ke urja xetra(urja bhandar) me automaticly(aapoaap) banti hai aur mere mind se unke sarir ke nabhie hokar unke mind tak chali jati hai-jisse vo jivit bhi rahte hai aur karya bhi karte hai-eesi liye vo sab oum bhakt hai-mai unhe vo urja time time par avirat deta rahta hu, unki eek aur jaruriyat bhi me har time par puri karta rahta hu unki bhavnakiy jaruriyat aur unki sexual jaruriyat jo mai sab ki alag-alag time par alag alag deviyo ki jaruriyat puri karta rahta hu.sab devi devtao ko mere aadesho ka palan karna hota hai.unse mai telepathi ke jariye harvakt-pruthvilok me jab muje time mile tab juda rahta hu.tino mahadev(brhma,visnu,mahesh) mujse aadesh paake karya karte hai(ye baate mai(yani mera swa) aap ko isliye nahi bata raha hu ki mujme is baat ka aabhiman aa gaya hai ki vo mujse aadesh pakar karya karte hai-mera swa nibhimani hai abhiman mujko sprshta hi nahi hai-(hum devlog durguno ko rakhte hi nahi hai) hum kabhi eek dusre ko daga nahi dete ya eek dusre se viswatghat nahi karte,hum vachan palan ke pakke hote hai,jo bhi vachan eek dusre ko dete hai use sacche dilse nibhate hai,asatya(juth) kabhi bolte nahi hai.(krupa karke jise meri ye baat pe viswash na ho ya meri ye baate samajme na aaye vo ees blog se dur rahe) pruthvi ko sirf pruthvi ko brhmaji ne harike aaadesh se uska vyavsthit planning karke uska nirman kiya gaya-maine(mera swa ne) un tino ko unke hisab se alag alag karya sope chuki planning visnuka tha or use nirman karne ka aadesh visnu ka tha to maine kaha" tumne is pruthvi ka(pruthvi ka nirman karneka socha to tum hi) palan posan karoge, brahma eek rachnakar hai,srujan kar hai to unko naye naye srujan karya sopta hu,or jab lage ki ye srujan bekar ho raha hai-usme humare niyamo ke viruddh karya ho rahe hai tab use nast karne ka vichar bhi hume aayega to vo nast karne ka karya shiv karege,thik hai" ye baat sab ne manzur ki.mere dhvra jo univars nirman huaa uski sampurna jawabdari(jimmevari) mere par thi, par unhone jo planning ke sath nirman kiya uski jimmevari maine unko(un tino ko) sop di. maine ya mera dhvara jo nirman huaa vo annayaas huaa ,matlab humne kabhi socha bhi natha ki univars ka nirman ho jayega. vo univars ka nirman kaise huaa vo aap log aage mere blog me padh chuke hai.mere dhvara jo nirman hua usme pura daiv lok aata hai,unki jaruriyate kahe to kus bhi nahi hai-na khana,napina,na eeknumber jana(na pisab karna) na do number(sandash) jana-na sona(lambe time ke bad sote hai) na koi paiso(dhan) ki jarurat na koi ghar ki jarurat pura univars unka ghar,na koi jarurate(maine ginvaee vo teen jarrat ke eelava na koi jaruriyate) aur unke dhvra nirman(srujan) kiye gaye grah(pruthvi) vasiyo ki to anginat jarriyate-kabhi kabhi visnu tras jata hai-use uske us pruthvi ke nirman ke vichar(jo maine hi usko diya tha) par gussa aata hai-par kya kare bechara jo kiya vo to nibhana to padega hi-khair muje aap log daiv na gine to bhi mai aap ko tecnicaly bhasha samjata hu ki mai univers ka main computer hu meri soch wo tin computeroke ander jake aap logo ke pas pahuchti hai-matlab meri soch se pura univers kriysil hai mai main server hu mere program anya computero me batta rahta hu. astu.
india me notbandi ke bad jo halat huye hai, vo sab india wale jante hai,bade bade sapne dikha ke india ke halat bigad diye gaye, jo sapne dikhaye gaye unme se ekbhi purna nahi huye,hatheli me chand dikhaya gaya iska jawab agle chunav me janta jarur degi.ees blog me mai idhar udhar ki bate nahi karta hu par rahta hu mai india mai hi to halat ka vivran dena jaruri banta hai log eek saal tak ubhar nahi payenge is halat se.dhandhe rojgar thik se chal nahi rahe hai,kisan log bhi badi halaki utha rahe hai,garib log ke samne yamraj aake khade hai,aur madhyam varg ke log pis rahe hai- in logo ne tana sahi chala rakkhi hai,hitller ke tarike se raj karte hai-kitne dino tak? aapko sawal hoga aap kyo kus karte nahi? mera jawab hai mere pise pise samay chalta hai, samay ki rah dekhiye aage jake samay badlega eese halat thahrne wala nahi hai, ye din bhi bit jayenge.kus tharta nahi hai-sab kus aata aur jata hai.aap mere janm-25-6-1972 ke bad ki viswa ki sthitiya dekhi ye aap ko lagega ki 1972 ke bad viswa ki sthitiya bahetar se bahetar huee hai aur aage jake aur bahetar se bahetar sthitiya aayegi-ghabraeeye mat-halato ka samna karna sikh jaeeye-aapko koi problem nahi rahegi-har halat ke liye taiyar rahiye aapko koi sawal ya confusion nahi rahega-jobhi hoga dekha jayega(matlab usse-us halat se par utar jayenge) wala etitued rakhiye.halato ko badalte der nahi lagti-har samay ya sthitiya parivartansil hai.hum rahi-musafir hai is jivan safar ke hume muskilose na ghabhrake bas chalte jana hai humari manjil ki aur.meri sistem aanko se na najar aane wali sistem hai, meri sistem ko samjne ke liye sixth sense chahiye jo maine sabko nahi di hai,jo iske yogya hai usiko ye mili hai- aur wo hi mujko dekh sakta ya jan sakta hai.viswa ke halat mere ghar ke halat ke sath sath chal rahe hai. mere eek eek sabd par samay ko chalna padta hai, meri soch se duniy,viswa,eeven univers karyanvit hai-aap chahe is baat ko mane ya na mane isse muje ya mere jo karya karne hai usme koi fark nahi padta.mera jo karya hai pruthvi par ke mere gharko nibhane ka aur samgra univers ka mera karya avichal chalta rahta hai, khas karke me darsnikbhav jyada rakhta hu aur jo ghatnaye ghati rahti sab jagah us par mai kriya-pratikriya jyada nahi deta kyoki muje malum hai yebhi eek din chala jayega kalko kusna kus naya aa jayega aur wo bhi eek din chala jayega aur kus na kus naya aa jayega.samay bahete nir(jal) ki tarah hai wo kisiki rah(intjar) dekhne walomese nahi hai. mera matlab hai halato ko dekh ke aapne mul swabhaw ko tyag ne ki galti bilkul na kare halat to time time par badlte rahte hai, bas aap na badliye- netural rahiye. aastu.
Subscribe to:
Posts (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...