Powered By Blogger

Friday, 16 June 2017

apna vyahvhar dusro ke prati friendly rakhe

apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki nahi? vo apne mulyo ko sabse upar rakh raha hai ki nahi-vo apne mulyo ko chahe jaisibhi muskeli aaye sodta to nahi na? uske manme mulyoka mahtva sabse adhik hai ki nahi-ye sab chek karne ke liye kudrat sacche insan ki hamesa parixa karta rahta hai-vo kahi badlta to nahina ye chek bhi iswer karta hai. dusroke prati uska vyavhar karna ye  sab uske jivan ka hisab rakhne me iswer ko kam aata hai. kyoki aage jake(uska manusya jivan samapt hone ke bad) use uaske jivan me kiye gaye karyo aur dusro ke prati kiye gaye vyavhar ka fal dena hota hai. ye hisab chokkas (khara) rakhna padta hai. taki use uska sahi fal diya jaye. isaliye jaisa vyavhar aapne  anya ko diya hota hai aisa hi vyavhar aapko agar usse na mil paye to anya se dilwa deta hai.esa sayong rachta hai ki vo vyavhar(uske jaisa hi vyavhar) aapko mile. agar insan bhagvan ki harek prakriyao ko samaj jaye to use jivan kya hai-jivan kyo hai-jivan kisliye hai ke sawalo ke javab mil jaye aur dusro (ki jo part of god hai) unke prati vyavhar kaisa karna chahiye uski samaj aaye. agar aap jo vyavhar dusro ke prati kar rahe hai uski chakasni karni ho ki vo jo mai  uske sath vyavhar kar raha hu vo vyahvhar vo mere sath karta to mai kaisa fil karta mai jo vyahvar uske sath kar raha hu vohi vyavhar vo mere sath kare to mai kaisa mahsus karta vo soch lena chahiye. tabhi dusro ke prati vyahvaroki samaj aayegi. bolne bhi eek kala hoti hai jise vaakchaturya kaha jata hai-boliye aise ki samneke manusya ke kanome misri ghul jaye taki vo aapko sunne ka pasand kare aur bar bar sunna pasand kare. manusya kal me bis sal ke hojaye tab duniyadari ki sab samaj viksit hojati hai,tabhi se apne jivan ke sacche mulya( ki jise hi iswer saccha sona - true gold- samjte hai) ko chuniye aur chahe jivan me jitnibhi muskil ghadi aaye use kabhi na sodiye-iswar aapka sath kabhi nahi sodega-us mulyo ke sath jivan me chalte chale jaeeye-aapko jivan me chahiye vo mil jayega-ha aapke karyoke fal ki aur najar mat kariye-sahi vakt aane par aapko sahi fal mil jayega-iswer par bharosa rakhiye-vo kisika bura nahi chahta-vo jivan ke kiye gaye karyo ke hisab me kabhibhi unch-nich nahi karta.bure insan ki harvakt iswer parixa isliye nahi leta kyoki vo iswer ki agli parixao me fail ho chuka hota hai aur usne jo jivanmulya chune hai usse uske fal nirdharit hochuke hote hai isliye bure insanki harvakt or harxan parixa nahi leta ha agar vo firse accha or saccha insan banneka nirdhar karke sahijivanmulyo chunta hai usitime se uski vapis parixaye suru hojati hai-burabanna asan hai,saccha banna jivan ke sahi mulyo ko chunke chalta rahna bahot kathin hai-isliye axar log hamesa buraeeyo ko pasand karlete hai.sacche mulyo par chalna unko bhata nahi hai. astu.

Monday, 5 June 2017

kudrat hai ki nahi is bat par bahut hi charchaye huee ye isliye huee ki kudrat apni is chrm(chamdewali) aankho se nahi dekhaee deta ya deti.yah ek assa setings hai, jo pahle se apne aap hi ban gaya hai ki pruthvi ka koi bhi jiv iswar ko dekh nahi sakega. yaha ke vigyan ka eek niyam hai ki jo dikhta nahi vo hota nahi-uske hone ke liye aisi koi thos sabooti(proof) chahiye jisse ye porvar ho jaye ki iswer ya unki duniya hai,aur vo karya kaise karte hai-kya kya karya karte hai uski thos sabooti duniya walo ko chahiye jo kabhi bhi mil nahi sakti is liye aajkal nastikvad ki bolbala hai.agar kisiko iswer bhagwan ki bate karenge to bolenge"dekha dijiye iswer kaha hai? aapne kabhi use dekha hai" agar koee apse yahi sawal kare to aap kah dijiye "tumhari ander jank ke ekbar dekh lo vo aap ke ander hi baitha hai aur aapki duniya chala raha hai,halaki vo kabhi nahi kahega ki"o bhai mai tumhari duniya chala raha hu" kyoki ye kahna uska swabhav nahi hai,uske aaap ke ander se chale jane ke bad,na aap hil sakenge nadool sakenge,na hans sakege,na ro sakenge aur na koi dunyavi gatividhiya kar sakoge-apka sarir nirjiv ho jayega." agar iswar nahi hai to fir ye duniya-univers aur universo ke univers kaise uttpann huye? eek bat samjlijiye koibhi chij apne aap hi uttpann nahi hoti outomatacly kus bhi nahi hota kus uttpann hone ke picche kus hota hai,ha ye alag bat hai ki hum use dekh nahi sakte.aur dekh sakte usse mil sakte to hum use paresan kar dete aisa paresan ki vo ye duniya hi na chala pate isliye vo nahi dikhte vohi aaccha seting hai ye duniya chalne ke liye.manav swabhav hai vo kus kar dega to mitro ko swajno ko bolta rahega, kaheta firega dekho maine ye kardiya hai,maine ye kiya hai.kudrati tatvo ka ye swabhav raha hai ki vo sabkus karlete hai parbhi unko pusa jaye to vo kahenge bhai maine kusbhi nahi kiya hai iska karta mai nahi hu vo to samay aur sanjogo(sayogo) ne kiya hai. aise bolne se usme abhiman ya garv ka namo nishan nahi rahta.ye maine kiya-ye maine kiya vale vakya me abhiman salakta dikhaee deta hai.aap me kabhi abhiman ko ghar banane na de-jo karya karna hai voto hame karna hi hai,use swabhavik-sahaj hone de aur vo karya karna hamari jimmevari bhi hoti hai-jaise univarse ko thik thak chalana iswariy tatvo ki jimmevari hai. eek do ya jyada vigyaniko ke bol dene se kudrat mar nahi jati-kyoki unko mrutyu hoti nahi hai.aur eek do ya jyada vaigayaniko ke kah dene se iswer ya eswer ki duniya nahi hai, to vo mit nahi jati. chahe bhrahmand na rahe(halaki aisa time ayega nahi-bhrahmand anant time tak astitva me rahega) fir bhi iswer to astitva me rahega hi. " muje mitna hota to mai astitva mai aaya hi kyu hu" vali soch isweri tatvo ki hoti hai. agar hum dekhe apni buddhi chalake dekhe to iswer aur iswer ki duniya samajme ajayegi.bhrahmand ko nalo samaj ne ke liye pruthvi ko hi lelo.jab pruthvi agni ka gola tha bahot varso ke bad jab vo thanda hua aur usme pani aaya to aise sayog kisne uttpann kiye-banane vale ne-pani ke bad eek kosiya jiv ko prayogik dhoran pe uttpan karna-kisne kiya-banane valene-badme kus or jiv ke uttpann karne ka vata varan kisne paida kiya-banane vale ne-jiv ke uttpann karne ke bad unke sthul(mas-haddi vala sarir) ko khane ki, rahne ki aur kaee jaruriyato ka vichar kisko aaya-banane vale ko-us jaruriyat ki purti ke liye usne pad pudho ko pahle se hi uttpann hone ka vatavaran banane ka vichar kisne kiya-banane valene-badme sab jiv utpann hote gaye last mai ayaa manusya ki jo iswer ki sresth rachna hai(kyoki vo bauddhik hai-kisi bhi chij pe soch vichar kar sakta hai)  uski harek jaruriyat ka vatavarn aur sayog kis ne racha-banane vale ne- to bolo iswer kaha nahi hai. dekhaee na de iska matlab hai ki vo nahi hai?-iska matlab hai ki hum nastik ban jaye dekhne jaye to sab jagah iswer hai aur ankh ade hath karo to ye duniya bina matlabki-koi kamki nahi aisi- banaee hai aisa lagega-fir hum me hi mukesh da ke wo git sunayee de-duniya banane wale kya tere manme samaee-tune kaheko duniya banaee?" astu.

                                                              ♡ my clerification♡                                                          ...