koi bhi ho uski niti-policies kaisi hai wo dekhi jati hai. agar nitiya hi galat hogi to uski gadi aage nahi chalegi, chahe wo koi human hoga,chahe wo koee compny hogi, ya koi desh hoga or brahmand ka nirmata mai hi kyo na hou- ye sab chalta hai satya, aur dusro ke prati hum kaisa vyavhar rakhte hai uske sinddhanto par,jo sindhant chakase(uski sarva sammati se khraee ki huee honi chahiye) aur vohi sindhant har pal-har xan sone ke sabit huye chahiye vo sinddhant rakhe bad me uss sindhant se,vyakti,sasthan,compny,desh,brahmand ke karya karta ko palatna nahi chahiye agar vo rakhe huye sindhant,niyam se paltte hai(chahe kaise bhi samay sanjog hi kyo naho palt na nahi hai) to vo usi time juthe aur baeeman sabit hote hai(jo koee sindhant nahi rakhte-vo to juthe aur baeeman hai hi-unke jivan ka koee mahtva nahi vo fokat jite hai-jivan ka arth nahi samjte-siddhanto bina ka jivan khivaiya(navik) bina ki kasti(nav) hai jo hume kahibhi nahi le jati darye me ghumti rahti hai lax par nahi pahuchati. mai sinddhat vadiyo ko prem(adhik) karta hu jo apne jivan me soch samjkar,chajkar,parakh kar sindhant ko banate hai aur usko jaisa hi smay ya sanjog(sayyog) ho jivan paryant nibhate hai-muje vo log adhik pasand hai-matlab vo kahibhi girgit ki tarah rang nahi badalte. unhi logo ka purn viswas kiya jata hai,vo hi jivan ki kasoti par khare utarte hai,vo log, dhan,sampati,jativad,prantvad,bhasavad,deshvad,ya anya koibhi bhedbhav ko mahtva nahi dete vo sirf humanity ko hi dhyan me rakhte hai aur unke kalyan ki chah karte hai. mai bhartiya janta parti (BJP) ke sinddanto (unki parti jo parakh ke banaye huye hai) uska dhanyavad karta hu,unme bas ye tanasahi(jo hukmi) vale durgun ko sirf hata de baki sindhanto mai muje sab thik lagte hai, aur asha hai ki aage jivan paryant vo tike rahenge, isbar aapko congress se hath milana padega(congress ka siddhant lalach or khud(swarth) ka bhala ho jaye desh ka kya sochna-is vichar ke karan dhul(bah)gaye use to jantane 2014 me sabak sikha diya hai par aapke sath isbar 2019 me hath milati hai satta ke liye to use aapse(bjp) kus shikhne milega ki jab koi sindhant tod dete hai to fir uska sab aswikar karte hai,vo lamba-jivan paryant nahi chalta- brahmand aur unke karyakarta amar kyo hai? unke sindhant ki vajah se jo bhutkal mebhi vo hi the,vartman kal me bhi vo hi aur bhavisya kal-anant time tak vohi rahenge use badalna nahi padega.vo sinddhat sabhi ke liye samprat rahenge-usme koee bhi kabhi bhi ferbadal nahi karne padenge. sortcut (sinddhanto ka tyag karke khudke sukhi(swarthbhav) hone ke liye) apnana srawade tumhe loss hi deta hai. sortcut sabke liye hanikark hai.isbar BJP aur congress sanukt hokar aayegi,mahagath bandhan vipax me rahega taki congress BJP se kus sikh sake.. karya dono milakar sarvasamatti se karegi. dhanyawad-thanks.
Monday, 8 April 2019
Wednesday, 3 April 2019
indian election
india me aajkal chutni ka mahol garmaya hua hai, sabke man me ek hi sawal hai kon banega is desh ka pradhan mantri? in 2019 to 2024 to dosto is bar itihas kus naya maud lenewala hai, isbar koibhi purn bahumati se nahi aayega, satta me aane ke liye do badi partiyo ko samjota karna padega aur vo do badi partiya hai-BJP or congresh ye dono ko (halaki ye dono partiya ek dusre se virodhi hai) hath milana padega-badi masakkat ke bad desh ko chalane ke liye ye dono partiya hath mila legi or sarv sammati se narendrabhai modi ko pradhan mantri banayenge. desh itihas me ye pahelibar hoga ki ye dono partiya ekjut hoke desh ko chalayegi-taki dono ekdusre se kush shikh le ki voter panch sal ke karya kal ke kamo ka result dekhte hai naki kiye huye juthe vade. na ab juthe vade chalenge, na koi brastachar chalega, na karyo ki dhimi gati(ruk ruk ke-ya fast nahi vo) kam chalega. janta ab chahti hai india golden country bane jaha koi kisi bat ko leke pareshan na rahe. sabko apna jivan mile,sabko rojgari mile,kheduto jo is jagat ka tat(pita-sabke pet ka palak) hai uske finicial condition(arthik sthiti) ka uddhar ho mai chata hu ki is india me paiso ki vajah se koi kyo dukhi ho? insan bas do hi dukh hote hai(1) emotional-jaise ki ghar me ya sambandh me koi kisi bimari ki vajah se ya kisi emotional bat ko lekar vo dard,dukh or yatnaye jel raha hota hai or (2) fainancial-paise na hone ki vajah se uske apne karya ruke huye hai ya fir ghar nahi chalta usse vo dukhi hai. is tarah insan is dharti par do vajah se dukhi rahta hai uske jivan me do brek down aate hai aur vo tut jata hai (1) emotional break down or (2) financial break down ye dono hi bate insan ko tod deti hai jo uske jivan ko hilake rakh deti hai or isse vo khada nahi ho pata. narendra modi ne jo panch sal ke sasan me do bade (hitlar sahi-jo bina soche samje-ki ye nirnayo se desh par kitna bura asar padega ye unhone nahi socha) nirnay liye (1) not bandhi or (2) gst usse desh ki kamar hi tut gayi desh gadi jase tham si gayi or log financial crisis me aa gaye dhandhe rojgar thapp hogaye log dukhi dukhi ho gaye. unko ye nirnay lene se pahle krore bar sochna chahiye tha desh ke logo ke mukhya jivan se juda hua tha nirnay jo desh ke logo ka jivan sinnbhinn karke gaya narendra modi ka yaha kus na gaya lekin desh ki janta dukhi-dukhi ho gayi. uska jawab narendra modi ki parti ko ab milega is chunav me.
Subscribe to:
Posts (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...