Wednesday, 30 August 2017
Monday, 28 August 2017
paheli-moh maya ko sodkar jio dard kam hoga.
father or mother is duniya ke abhinn ang hai. kudrat ne apni duniya chalane ke liye do abhinn ang uttpann kiye eek purush or dusri stri. inke bina duniya chalana muskil hi nahi na mumkin hai. harek jivo me stri(nari) aur purush(nar) uttpann kiya inhi se ye duniya ka astitva aaj tak tik paya hai aur inhi se age tikega. nar ka karya hai gruh ko aarthik rup se chalana. aur khudse paida huye parivar ko chalana. bus yahi karya kudrat bhi kar rahi hai. kudrati tatva apna ghar(brahmand) chala rahe hai.ye unka kartavya aur jawabdari bhi hai. kyoki sari manav jaat aur pruthvi par ke jiv unke amulya bacche hai. unki reenspobility hai harek jiv ke prati, jo vo nibha rahe hai aur age bhi nibhate rahenge. kudrat ka karya hai sayyogo ko uttpann karna. jo jo sayyog bante hai ye kudrat hi uttpann karti hai. isme mother ka role bhavnakiy jaruriyato ko pura karna hai.bacche mother se bhavna se jude rahte hai. deviya bhi jivoki bhavnakiy jaruriyato ko pura karneki kosis karti hai. ye sansar multah iswer ki santan hai, aur yaha dekha jaye to sab ek dusreke bhai-bahan hi hai.par sansar ko chalane me is sabandh ko dhyan me na lete huye ekdusre ek dusre ke sath ghar basate hai.jo ki lambe gale se bhai bahan hote hai. putra pita ki zerox copy hota hai atah hum sab us pitah ki zerox copiya hai-sarir se nahi aatma se. aatma us pita ki zerox copy hai. yahi bandhn ne hume ajtak jode rakkha hai. aur yahi bandhan se kabhi na kabhi insaniyat bahar nikalti rahti hai.yahake sab riste nate juthe hai, jiye jabtak tab tak nibhane hote hai, mrutyuke bad ye ristenate sut jate hai.yaha jisko jo kirdar mila hota hai vo jiye tab tak nibhane hote hai-vo bhi pramanikta se.yaha -is brahmand me eek hi rista saccha aur niswarth hai-jo anant time tak chalta rahta hai aur vo hai aur vo hai jiv aur parmatmaka-bhakt aur bhagwan ka-jiv aur shiv(kalyankari tatva) ka ye eek nata-rista hai jo bina tute(atut) anant time tak chalta rahta hai-chalta rahta hai-chaltahi rahta hai- jo log aaj is najro se(ankhose deekhaee dene vali) is duniya ko dekh ke- aur iswer ko nakar-(nastik log) dete hai use jab uske sarir ka mrutyu ka time aata hai tab antim time me iswer yad aata hai-us xan uase gyat ho jata hai ki sab iswer ki rachaee gaee maya thi jise sodne kar iswer ke pas jane ka time aa gaya hai-aur tabhi vo nastik iswer hone ka swikar kar ke apni nayi manjil ki aur chal padta hai-ye juthe riste nate pisse sodkar.-astu.
Subscribe to:
Posts (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...