Powered By Blogger

Friday, 21 July 2017

bhavnaye- enalysis

                                                                     BHAVNAYE                                                                                                                                            *************                                                                                                    jivanme bhavnao ka bada mahtva hai, agar is duniyame ekdusrese bhavnaye nahi judi hoti to ye rachaya gaya sansar chalta hi nahi. bavnaye tab jagrut hoti hai jab aise bhav jagte hai aur vohi bhav jagana kudrat ka karya hai. bhavnaye jagne ke liye mindme alag alag cemical ka uttpann hona anivarya banta hai agar aap hans rahe hai to aap ne koee ghatna aankho se dekhi ya kano se suni ya padhi hai jisse aapke mind me hansne wala cemical uttpann hua aur aap us bhav ko pradarshit kar rahe hai.vaise hi rone ka bhav jagne ke karan rona,prem karna,nafrat karna,bhakti ka bhav jagna,ahobhav hona,unchbhav jagna nimna bhav jagna ye sab  mind me uttpann hote alag alag cemical ki vajah se hai konsebhav kab jagana ye kudratke hath me hai. sansar kya hai -sansar eese bhavo ke karan ghat rahe ghtna ka samuh hai. bhavo ke karan ho rahe vyavharo se jo ghatnaye ghatti rahti hai uska samuh  hai.prati  xan milion ghatnaye ghatti rahti hai yaha.eesi hi ghatnao se sansar chakra chalta rahta hai yaha.   sansarchakra ko chalta rahne ke liye harek ko koee na koee bhav jagna jaruri hai.agar  jivo me eek hi bhav hota to sab ruk sa jata. kahiye ki aage hi na badhta. bhgawan ko hummesh bhavnaye pasand hoti hai. bhavnaye dilse nikal kar dimag me us bhavna ka cemical banta hai fir aap us bhav ke asarke nicche aate ho.   aur vyavhar karte rahte ho. bhakto me jo gyani hai -jise sarv gyaat hai vo- vaise bhakt jyada pasand karte hai.  aur jo agyani hai , aur bhrahmandiy sindhanto ki avganna karte hai vo is sansarme aate jate rahte hai. tab tak jabtak use sab gyan na mil jaye.jo kudrat ko jankar bhi anjan jaisa vyavhar karta hai jo kudrat ke banaye gaye nitiniyamo ki avhelna karta hai vo apna hi bura kar raha hota hai.kaliyug me agar koee bura bankar sukhchain se ji raha hai, pal pal juth bolkar sukh chain se ji raha hai to use dekhkar apne sinddant badliye mat kyoki vo uska sukhchain lamba nahi chalta -time aane par use bhi sindhanto ka mahtv shikhaya jata hai.time ane par uske vo sukhchain sinliye jate hai jo usne kudrat ke banaye gaye sindhant ki avganna karke mile hai.vo sukh chai use uske aglejanm ke punya karmo ke karan mile hote hai-jo khatm hote hi uski buri avdasa suri hoti hai. bhagvan par sraddha aur viswash anivarya hai.bhagvan par viswash rakhiye vo kisika bhi bura nahi chahta.dev hammesha hi sab jivo ki hit ki hi sochte rahte hai. aur ab muje ye jarur kahna hai ki jo duniya me aantak failate hai nirdoso ko mrutyu dete rahte hai-unaka      antbhi bahot buri tarike se hota hai. jivan diya hai to aanand me jio par kisiko nadna nahi,matlab kisike jivan me problem mat creat kijiye ho sake to use problem se bacchaeeye. dhanyavaad-thanks-aastu.                        

                                                              ♡ my clerification♡                                                          ...