puri ki puri arth vyavstha dhah gayi ya charmara gayi hai,aise samay par logo ka jina kathin ho raha hai.pahleke samay par ye teji mandi jaisa kus nahi tha.jabse arthvyavstha money(dhan) ke adharit ho gayi hai tab se ye teji mandi ka daur suru ho gaya hai.pahle ke time par manvta ka mulya-amulya tha. aaj ke time me jiske pass jyada dhan hai uska mulya jyada hai.kisi baat ki ati thik nahi hai.dhanvano ko path padhane ke liye-arth vyavstaha me god ke dhvra mandi ka time bhi lana jaruri hai.kyoki dhan duniya me sabkus nahi hai-dhan ke elava kus hai jo amulya hai-brhmandiya niti niyam-jo amulya hai-jiska mulya nirdharit nahi kiya ja sakta.manvo ko manviyta sikhane ke liye kus ghatnaye ghatit karni aavsyak hai.sabse accha vo hai-jo hum apne liye na jiye par dusro ke liye jiye-dusroka bhala kare-apne hisse ki roti aadhi hi sahi lekinjarrurat mando ko de-jo apne liye jita hai vo is duniya me bhar rup jita hai.dhan-dhan or dhan ki khevna rakhne wale is duniyame bhar rup hai-is duniyame dhan ke siva aur bhi bahot kus hai-jo hame manvta ki rah pe chalna sikhta hai.kai log aisebhi hai is duniyame jo duniya se(ya kahe god se) lete bhaot kus hai par duniya ko vapis dete nahi hai-god ka bhi eek niyam hai-mai tumhe de raha hu tum jarrurat mando ko dena-par ajkal ulta dekhneko milta hai-sab duniya se le leke dhan eekattha karne me pade huye hai-vo jaruriyat mando ko kus nahi de rahe-sab apneliye aur apne baccho ke liye-ekattha kar rahe hai-dan ka mulya koi nahi samajta-isliye economy ka cresh hona banta hai.taki dhan ke lalchi ko malum pade ki apne upr bhi koi baitha hai jo sansar ki harek gatividhio ko bade dhyan se nihar raha hai -aur ye tay kar raha hai ki brahmand ke konse niyam break ho rahe hai.buddh ka madhyam margiy niyam uski jagah thik hi hai-jyada upar na chale jao-or jyada niche bhi nahi-madhya me raho taki santulan bana rahe.manvta ko na sodo.pure visva ka ek hi dharm hai manvata jo ajkal kabhi kabhar dik jati hai.economy to phir se uski rah chal degi-par aap log apna rasta(dharm-manavta) na bhoole-jyada dhan ke lalchi na bane-dhan keval jivan nirvah ke jitna ho vo hi bahot hai-jyada dhan bhi muskeli peda kar sakta hai.
Friday, 19 August 2016
Subscribe to:
Posts (Atom)
♡ my clerification♡ ...
-
apna vyavhar kaisa rakhe- kudrat sacche insan ki xan xan parixaye leta rahta hai- ye dekhne ke liye vo apne niti aur niyamo pe kayam hai ki...
-
apne aapko kabhibhi kam mat ankiye(kabhi kam mat samjiye,nicha mat samjiye) kyoki yaha sab jiv divya hai aap bhi divya hai.prmatma ka ans k...